Qurbani ka janwar Kharidte waqt kin kin cheezo ka dhayan rakhna chahiye:- 1) Naak agar bilkul sukha hai to bhi bimaar hai. 2) Naak me agar paani behraha ho to bimaar hai. Naak me sirf gillapan hona chahiye. 3) Janwar ko chala kar check karo langada na ho. 4) Sing tuti na ho. 5)Pahela teeth 2 ya 4 ho. 6) Agar 1/4 se kam tuti hai to chal jayegi. 7) Kaan kata hua na ho. 8) Khoobsurat bhi ho. 9) Huzur alayhissalaam ke naam se qurbani zarur kare. 10) Aaj kal log bade aur expensive janwaar lekar dikhawa karte hai. Yaad rakhe dikhawe ki niyyat se na le. Ye riyakaari hai aur riyakaari ko chota shirk khaha gaya hai. 11) Huzur alayhissalaam ne jo janwaar ummat ke liye ziba kiya wo white tha magar ankho ke paas, tango ke paas aur pet pe black tha. Agar aisa janwaar mile to subhaan Allah. Sunnat bhi ada hogi.