Har simt dekh raha hai ab Toofaane behayai,
Baatil se hai muhabbat aur Haq se bewafai.
Aangan me apne ghar ke, Jee bhare to kaise,
Beti itni ladli hai, Parda karaye to
kaise.
Behno ke haalat se bhai bhi bekhabar hain,
Puchhe kis tarah wo, Jab khud idhar udhar hain.
Be-pardagi ka aalam kis tarah bataya jaaye,
Zehreela saanp hai ye, Ummat ko das na jaaye.
Yeh aag hai maghrib ki, Aur kaam
himaqat ke.
Lo ho gaye numaya, Aasar qayamat ke.